Friday, September 13, 2013

Behis Muashra!!!

Hum jis muashrey mein sans ley rahy hain. wahan insaniyaat apni akhri sans ley rahi hai. ye bilkul such hai aur afsoos ki baat hai k yeh such hai. muashra jisey hum ne tameez o tehzeeb ki misal bunana tha wahan ajj aise aise kissey aur waqiye samney atey hain k insaan k rongtey kharey hojaein aur wo ye sochne pe majboor hojae k akhir hum zinda bhi hain ya nahi? humare ander koi his baqi bachi b hai ya nahi? Roz roz tv pe anay wali khabrein bas sunney k liye hi hain? ya in sey kuch sabaq bhi lena hai?
Hum jis muashrey mein hain, is ko hum ne hi behter bunana hai ye humre liye hai aur hum is k liye, is muashrey ka nizam hum ne hi theek karna hai. ek acha aur sehatmand muashra hum sab ka bunyadi haqq hai.
Roz ba roz k bhartey huye ye na khushgawar waqiye humre muashrey ko mazeed tabahi ki taraf ley ja rahy hain. kabhi kabhi yahan qatal bohot aram sey hojata hai aur kabhi yahan rape, aur mujrim dhandanatey huye phirtey hain. insaaf ki dhajiyan ura de jati hain. koi ba-asar insaan koi jurm karey to wo phr b azad rehta hai. aur ager kisi ghareeb pe musibaat ajae to wo apni awaz bhi nahi utha pata, ye nizam kab tak chalyga? aur kab tak is terhan ka zulm hota rehyga?
Humein awaz uthana hogi aur mujrimo ko saza har hal mein dilwani hogi, nahi tou is behis muashre ki behisi ka kisi din hum bhi shikar hosakte hain!!!!!

Sunday, September 8, 2013

Zindagi!!

Hum sab hi loug, apni apni zindagi'on kay barey mein bohot kuch plan karte hain. Humein agay jana hai, Kam karna hai, Ye karna hai, Wahan settle hona hai. aur bhi pata nahi kiya kiya, kuch loug apni plannings mein barey kamiyab bhi hojate hain aur kuch ka kam nahi bun pata, Zindagi ek bohot khubsoorat cheez hai. Bas issey samjhne k liye thora wakt chahiye hota hai..
Ajj kal ki zindagi mein bohot depression aur tension paya jata lekin humare buzurg'oon ne bohot pur sukoon aur sada zindagi guzari hai jis sey wo bohot mutmaein bhi hain. ajj kaal wo baat nahi hai. jis ki waja shayed ye hai k hum ye life style passand hi nahi karte ya hum apni khuwahisho'on ko pura karne k liye din raat ussi barey mein sochte rehte hain ya us k liye kam karte rehte hain, jis k natijay mein na hum pur sukoon nahi ho pate aur ulta depression mein chaly jate hain. aur is ki waja shayed ye b hai k hum ne apne buzurg'on k pass bethna hi chore dia hai.
Jahan dekho loug app ko "busy hoon" khe k tal dete hain, sab apni apni kashti pe sawar hain aur manzil ki janib tezi sey jana chahte hain.
Mein kabhi kabhi ye sochti hon.. k duniya mei har koi hi apne liye apne behter future k liye bohot koshish kar raha hai lekin phir depress bhi hai.. is ki waja kiya hai??? shayed hum apni zindagi k barey mein bohot ziyada pareshan hogae hain aur har wakt isi k barey mein soch soch k mazeed pareshan hojate hain jo humein depression ki taraf ley jata hai..
Mere khayal sey overthinking bhi kam kharab krti hai.. aur hum apna present time bhi depression ki waja se kharab kar dete hain.. jab k zindagi ek bht khubsoorat chez hai koshish to yehi honi chahye k is k har ek lamhe ko enjoy karein lekin ye koi practical baat nahi hai. achai burai ka ana tou zindagi k sath sath chalta hai.. asal baat hai k app issey kese handle karte hain..
Ager ek hi cheez k barey mein sochte rehy to mazeed pareshan honge aur pareshan hona masle ka hall nahi, tou kuch maml'on ko wakt pe bhi chore k dekhein kiya pata wakt k sath sath sab theek hojae, ye mera chota sa opinion hai..!!!